Lohiya Swachh Bihar Yojna Apply Online:- Bihar Government Nitish Kumar ne Bihar Rajya ke sabhi Garamin Area ke logo ko Shauchaly ke madhyam se Swachhta ko rakhne ke liye Lohiya Swachh Bihar Yojna App ko shuru kiya hai. Bata den ki Bihar ke Chief Minister dwara Rajya ke har Gramin Parivaron ko Shauchaly banane ke liye Lohiya Swachh Bihar Yojna ki ghosna kiya hai. Jiska mukhya karan hai ki Gramin Area ko Clean India Movement banana hai,
Aap sabhi ko bata den ki Lohiya Swachh Yojna ko Kendra Sarkar ke dwara jaari kiye gye Swachh Bharat Yojna ke tahat kiya gya hai. Jo is Yojna ke antargat Bihar Rajya ke Gramin Area me rahne bale sabhi parivaron ko Shauchalay uplabdh karaya jayega, Aur Garmin Kshetra me khule me sauch karna mukt banaya jayega. Jiske liye sabhi Gramin Area bale logon ko Shauchalay babane ke liye kuchh sahayata rashi pradan bhi kiya jayega. Jiski sabhi jankari aap sabhi ko is article ke madhyam se diya ja raha hai, Aap sabhi jankari niche se padh sakte hain.
Lohiya Swachh Bihar Yojna
Aur Lohia Swachh Bihar Yojna ke tahat Bihar Rajya ke sabhi Gramin Area me khule me souch se mukt karne ke liye shuru kiya gya hai, Jise Centrally Sponsored Swachh Bharat Mission Gramin (SBM-G) Aur State Sampoorna Lohia Sanitation Scheme se is Yojna ko pura kiya jayega.
Lohiya Swachh Yojna ke tahat Rajya ke 1.66 Crore Family ko Shauchalay uplabdh karaye jayenge. Jo ki pure Bihar Rajya ke Gramin Kshetra ko 2 October 2020 tak khule me Souch se mukt banane ka udeshya hai.
Aap sabhi ko janana jaruri hai ki Swachh Bharat Mission Gramin Aur Ganga Action Plan Namami Gange ke tahat Rajya ke sabhi District me Shauchalay banbane ke liye Rs. 12000/- Rupaye ki sahayata Rashi Sarkar ke taraf se pradan kaiya jayega. Aap is Yojna ka labh uthane ke liye apna Mobile App se online aavedan form bharna hoga.
Lohiya Swach Bihar Yojana – Overview

Name of Scheme | Lohiya Swach Bihar Yojana |
Lounched by | Chief Minister of Nitish Kumar |
Application Mode | Online |
Benefit of App | बिहार के सभी घरों में शौचालय |
Beneficiary | Gramin Bihar ke Logo ko |
Launched by | CM Nitish Kumar |
Main Purpose | Bihar Rajya ko Souch Mukt Banana |
Website Link | http://lsba.bih.nic.in/SBMJ/SBMJEEVIKA/Default.asp |
Eligibility Of Lohiya Swachh Bihar Yojna
To Lohiya Swachh Bihar Yojna Mobile App se labh uthane ke liye Candidates ko diye gye Eligibility Critria ko pura karna hoga.
- Iske liye Candidates ko Bihar Rajya ke Gramin Area ka ek nagrik hona chahiye.
- Aur bihar ke kisi bhi Gram ka koi bhi nagrik iske official site par jakar free me Shouchalay ke liye aavedan form bhar sakte hain.
- Jabki Aavedan karne bale Candidates ka pahle se unke ghar me koi Shouchalay nahi hona chahiye.
- Aur sabhi paperwork aur investigation ke baad Aavedak ko Shouchalay banane ke liye Rashi pradan ki jayegi.
How To Download The Lohiya Swachh Bihar Yojana App?
Bihar Sarkar ke dwara jaari kiye gye Lohiya Swachh Bihar Yojna ke liye Mobile App bhi online jaari kiya hai, Jise aap niche bataye gye tarike ko follow kar is App ko online download kar sakte hain.
- Aap iske official site par niche diye gye link se visit karen.
- lsba.bih.nic.in/SBMJ/SBMJEEVIKA/Default.aspx(opens in a new tab)
- Ab iske home page par Lohiya Swachh Yojna App ke link par click karen.
- Aap chahe to apne mobile se Google Play Store me jakar bhi App ko online download kar sakte hain.
- Aap waha se Search box me E-Lohiya Swach Yojna App Type karen.
- Aur App ko download karne ke baad Log.in kar len.
- Uske baad aap iski agle prakriya ko pura kar sakte hain.
How To Apply For Lohiya Swachh Bihar Yojana?
Aap Lohiya Swachh Bihar Yojna ka labh prapt karne ke liye niche diye gye direct link aur bataye gye step ko follow karke labh utha sakte hain.
- Aap apne phone me is App ko open karen.
- Iske baad aap yaha par apna name enter karen.
- Ab apna Block aur Panchayat ko select karen.
- Phir District Panchayat, Block Panchayat And Village Panchayat ko select karen.
- Yaha par apna Family Status yani ki APL ya BPL ko select karen.
- Ab apna Aadhar number, Voter ID Card No. ko enter karen.
- Ab apna Bank Account ka details enter karen.
- Aur itna karne ke baad Application Form ko submit par click kar den.
- Aapka Form Accept hone ke baad aapke Bank Account me Cash Transfer kar diya jayega.
Lohiya Swachh Bihar Yojna (LSBA) Aims:-
- खुले में शौच मुक्त बिहार” के लक्ष्य की प्राप्ति के लिए समयबद्ध तरीके से ग्रामीण क्षेत्रों में स्वच्छता का आच्छादन.
- स्वच्छता अभियान की गतिविधियों से विभिन्न भागीदारों यथा पंचायती राज संस्थान के प्रतिनिधियों, संकुल स्तरीय संघों, ग्राम संगठनों, स्वयं सहायता समूहों, नि:शक्त स्वयं सहायता समूह विभिन्न सरकारी विभागों एवं गैर सरकारी संगठनों को सम्मिलित करना.
- सामूहिक व्यवहार परिवर्तन तथा स्वच्छता विषयक सुरक्षित आचार सुनिश्चित करने के लिए समुदाय आधारित सम्पूर्ण स्वच्छता (CLTS) की रणनीति को अपनाना जो सारे समुदाय को स्वच्छता के प्रति जागरूक करे.
- समुदाय आधारित सम्पूर्ण स्वच्छता सुनिश्चित करने हेतु ठोस एवं तरल अवशिष्ट के प्रबंधन (SLWM) का क्रियान्वयन.
Lohia Swachh Bihar Abhiyan
Lohia Swachh Bihar Abhiyan (LSBA) ke tahat Rajya ke sabhi Gramin Area me khule me Souch Mukt banane ka lakshya hai, Jise Kendra sarkar dwara Bharat Mission Gramin (SBM-G) aur State-funded Lohia Sanitation Scheme ke prabdhano se pura kiya jana hai.
Is Abhiyan ke tahat 1.66 Crore Parivaro ko Shauchalay uplabdh karaya jayega, jo Bihar ko 2nd October 2020 tak khule me Souch Mukt banane ka lakshya hai. Clean India Mission (Rural) ke antargat Ganga Karya Yojna Namami Gange ke tahat Rajya ke 12 District, Begusarai, Bhagalpur, Bhojpur, Buxar, Katihar, Khagaria, Lakhisarai, Munger, Patna, Samastipur, Saran, and, Vaishali Districts me Ganga kinare avashthit 61 Block ke 307 Panchayat me Shauchalay banaye jane ka lakshya hai.
Contact For LSBY:-
State Project Management Unit LSBA – JEEViKA
BIHAR RURAL LIVELIHOODS PROMOTION SOCIETY
Vidyut Bhawan, Annexe-II, 1st & 2nd Floor (Southern Wing)
Bailey Road Patna-800 021, Bihar
Phone No: +91-612-2504979
Email: lsbabihar@gmail.com